Nigaah-e-Rehmat Uthi Hui Hai Woh Sab Ki Bigri Bana Rahe Hain
Nigaah-e-Rehmat Uthi Hui Hai Woh Sab Ki Bigri Bana Rahe Hain
Nigaah-e-Rehmat uthi hui hai woh sab ki bigri bana rahe hain
Khula hua hai Kareem ka dar, bhare khazane luta rahe hain
Falak ka seenah damak raha hai zameen ka gulshan mehak raha hai
Chhade hain Sal-e-Alla ke naghme Huzoor tashreef la rahe hain
Na un sa koi azeem dekha, na aisa dar-e-yateem dekha
Zamana thukra raha hai jin ko, unhein woh seene laga rahe hain
Kare ga yeh hashr bhi nazara banenge mushkil mein woh sahara
Kareinge sab intezaar un ka, woh a rahe hain woh a rahe hain
Baroz-e-Hashr ba waqt pursish mujhe jo dekha farishte bole
Idhar pareshan kyon khare ho tumhein to Aaqa bula rahe hain
Nabi ki tauseef Allah Allah ke daad Jibreel de raha hai
Zahoori kya khush naseeb hain jo Nabiﷺ ki naatein suna rahe hain