Nemat-e Be Badal Madina Hai
Nemat-e Be Badal Madina Hai
Nemat-e be badal madina hai
Har udasi ka hal madina hai
Zabt-e jazbat lazmi hain yahan
Ae mere dil! Sanbhal, madina hai
Un ki amad ka faiz hai makka
Un ki hijrat ka phal madina hai
Ahl-e makka ne jo kiya so kiya
Un ka rddamal madina hai
Arzian dal par nigahon se
Apni adat badal, madina hai
Gard-e rah jhaarnay ki sochta hai
Is ko chehre pe mal, madina hai
Go ke har shehar hai madina magar
Shehar-e sarkar almadina hai
Dost ye hai ehtimam-e aks kashi
Khud se bahar nikal, madina hai
Khatm ho jaen ge sabhi aamaal
La na mathay pe bal, madina hai
Lab pe be ja utar na ae khwahish
Pehle ashkon mein dhal, madina hai
Gar na jaen zameen par ae chashm
Apne aansu ngal, madina hai
Yasrab-e haal se na ho ghamgeen
Mazhari tera kal madina hai