Nazr Bhi Mast Mast Hai Faza Bhi Rang Rang Hai
Nazr Bhi Mast Mast Hai Faza Bhi Rang Rang Hai
Nazr bhi mast mast hai faza bhi rang rang hai
Dhle dhle hain walwle nai nai umang hai
Hawa ki mauj mauj mein, durood ki tarang hai
Junoon ki rut ki ragni sir-e-rabab o chang hai
May-e-wala ki chap se nashe mein ang ang hai
Har aik badah khuwar ka libas shokh o shang hai
Na khwahish-e-namood hai na fikr-e-naam o nang hai
Idhar janab Sheikh ki nazr zara si tang hai
Idhar gurur-e-faqr mein magan koi malang hai
Jo keh raha hai dosto sada magan raha karo
Mein be niyaz-e-dahr hoon meri tarah jiya karo
Jo dil kahe kya karo, kisi ki mat suna karo
Ali Ali kya karo Ali Ali kya karo
Pila pila may-e-wala ke hum bhi megeysaara hain
Teri kasam hai saaqiya, azal se be qarar hain
Na pooch kab se tashna lab hain mehve intezar hain
Yeh pyas tujh pe qarz hai yeh hausle udhaar hain
Bohat gurur bhi na kar ke maikeday hazaar hain
Magar jo bab-e-ilm hai, hum us ke badah khuwar hain
Woh maikada ajeeb hai, ajeeb barg o baar hain
Wahein tamam ambiya qataar dar qataar hain
Hain uske dar chahardah magar usool chaar hain
Piyo to paanch waqt baara jaam hi piya karo
Yahan se may piyo to iska ajar bhi diya karo
Wala ki may to farz hai yeh farz yun ada karo
Ali Ali kya karo, Ali Ali kya karo
Woh dekh jhoomti ghata ko choomti jhawaniyan
Faza mein saat rang ki woh tootati kamaniyan
Ubhar rahi hain Dajla o Farat ki kahaniyan
Tabiaton mein aa gayi hain Kauthari rawaniyan
Kahan yeh waqt hai sahun kisi ki hukmraniyan
Pila pila ke mein karun teri Qaseeda khwaniyan
Tamam kainat par hain teri mehrbaniyan
Faza, ghata, hawa, nashe, sabhi teri nishaniyan
Naqab-e-rukh utha zara, “we mehrban janiyan”
Naqab-e-rukh sarak chala hai may kashu dua karo
Gul-e-murad khil raha hai manaten ada karo
Wo maikeday ka dar khula hai ab yahi sada karo
Ali Ali kya karo, Ali Ali kya karo
Piyo ke may kashu yahi wilayah ki sharab hai
Sharab kya hai, ambiya ki aabru ka khwab hai
Yeh maikeday ka noor hai, yeh Toor ka shabab hai
Isi ka kaif dosto, khulasa-e-kitab hai
Yeh raas ho to phir raza-e-haq bhi humrakab hai
Na raas ho to zindagi azab hi azab hai
Yeh farsh par bani hui bust bottarab hai
Magar faraz-e-arsh par khuda ka intekhab hai
Isi ke faiz se har aik dost kamiyaab hai
Magar isi ke ghez se adu ka dil kabab hai
Isi sharab se to dil ko tazagi ata karo
Yahi sharab pi ke rooh ko jala diya karo
Ba qadr zuruuf dosto yeh may bhi pi liya karo
Ali Ali kya karo, Ali Ali kya karo
Piyo, Ghadir-e-Khum ki simt le chalen tumhein zara
Woh aa raha hai phir palat ke hajioun ka qaafila
Woh qaafila ke jis ke rahnuma hain khatam-e-ambiya
Yeh dopehar ki dhoop yeh ujhad dasht ki faza
Yeh aasman zameen ki simat aag phenkti hawa
Woh pyas hai ke halq mein atak rahi hai har sada
Yeh kyun hawaen tham gayi hain, daadatan yeh kya huwa
Faza khamosh ho gayi ke dasht bolne laga
Yeh kaun samne huwa, theher gaye hain Mustafaؐ
Suno udaas may kashu zara to hausla karo
Na is qadar khamoshiyon mein bolte raha karo
Kisi ki baat bhi kabhi kabhi to sun liya karo
Ali Ali kya karo, Ali Ali kya karo
Are yeh Jibreel hai, magar yeh kyun badal gaya?
Na ab woh ehtram hai na hai adab ka silsila
Na ab khitab-e-aiyyoha al-Muzammil na annama
Nazar mein ek jalal hai, jabeen pe bal pada huwa
Nabi ko kar raha hai azmaishon mein mubtala
Woh keh raha hai ae Rasool, sun payaam-e-kubriya
Yeh hajioun ka qaafila yahi kahi bitha zara
Suna tha arsh par jo hum se aaj woh unhein suna
Humare harf harf ko amal ka aaina dikha
Agar yeh kaam reh gaya‘ na to nabi na main Khuda
Suna hai tum ne may kashu, bohot na ghal ba-pa karo
Zara nashe ke rang ko mizaaj se juda karo
Dil o dimaagh o zehan ke tamam dar bhi wa karo
Ali Ali kya karo, Ali Ali kya karo
Faza pe ek sakoot hai, nazar nazar khamosh hai
Hawa pe mehr lag gayi, shajar shajar khamosh hai
Idhar falak bhi ruk gaye, zameen idhar khamosh hai
Wo nabz-e-shaam tham gayi, lib-e-sehar khamosh hai
Bujhe huwe hain bahr o bar ke khushk o tar khamosh hai
Damak rahi thi jo abhi woh rehguzar khamosh hai
Paimbari hai dam bakhuda ke naamabr khamosh hai
Falak to khair ek taraf, bashr bashr khamosh hai
Nabi ka dil dhadak utha, Khuda ka ghar khamosh hai
Wo lab ksha hue nabi ke dosto dua karo
Jo woh kahe woh mein kahun ga aur tum suna karo
Khuda ka hukm hai mujhe ke tum hi ibtida karo
Ali Ali kya karo, Ali Ali kya karo
Yahi Ali jo dilbari ke sheher ka makhin hai
Yeh hai falak ka sarparast, walid-e-zameen hai
Ramoouz-e-Kun ki sab amanaton ka ek amin hai
Yeh mehr o mahtab ke nagar ka meh jabeen hai
Yeh raazdar o ashnaaye ramz-e-mau o teen hai
Khuda ka noor jis ka hussan hai yeh woh hussain hai
Yeh mera hum nas bhi hai yeh mera hum nasheen hai
Zameen o aasman ki khalq mein yeh behtareen hai
Suno suno ke aaj se yeh mera jaan nasheen hai
Yeh hukm hai ke aaj se isi ki iqta karo
Jo mushkilein parin to is ke dar se iltija karo
Suno suno ke har jagah yahi sabaq diya karo
Ali Ali kya karo, Ali Ali kya karo
Falak sunen malik sunen, zameen ka har bashr sune
Faza-e-khushk o tar sune, hawa-e-bahr o bar sune
Har aik qasr, jhonpari har aik baam o dar sune
Charind bhi, parind bhi, hajar sune shajar sune
Ujhad junglon mein har tarha ka janwar sune
Samundaron ki teh mein seepiyan sune ghar sune
Tamam ambiya, wali, wasi, qutub, nazar sune
Har aik maan sune ise ‘ pidar sune pisar sune
Nabi ke hath mein Ali ka hath dekh kar sune
Isi Ali ko aaj se mera wasi kaha karo
Yeh hai wasila-e-Khuda agar Khuda Khuda karo
Meri bajaye is se umr bhar madad liya karo
Ali Ali kya karo, Ali Ali kya karo
Ali waqar-e-ambiya, Ali dil-e-paimbari
Ali pe aa ke khatam hai yeh jalwa-e-sakhunuri
Ali wali nahi faqat kare hai olia gari
Ali ke dam se sarfaru hai Qanbari keh Buzari
Ali ne kam sini mein bhi dikhayi hai woh safdari
Ke khatam ho ke reh gayi jahan mein rasm-e-azdari
Ali ke aage heech hain nabi ke aur lashkari
Kahan Ahad se bhagna kahan jalal-e-Haydari
Janab-e-Sheikh aap ne bhi munsafi ajab kari
Ali ke dushmanon ka zor dekh to liya karo
Kabhi kabhi to adl par bhi faisla diya karo
Janab-e-Sheikh bughz-e-Murtaza mein mat jiya karo
Ali Ali kya karo, Ali Ali kya karo
Ali hai kaun tum Ghadir-e-Khum pe aake dekh lo
Ali ko mushkilon ke waqt aazma ke dekh lo
Isi mein rang dhang hain kul ambiya ke dekh lo
Yeh kaun dar gara raha hai muskurake dekh lo
Kahan pe khatam silsile hain sufiya ke dekh lo
Hain kaun raazdaan jahan mein Kubriya ke dekh lo
Ali ko tum maqam-e-haq se bhi gira ke dekh lo
Isi mein hi milen ge haosle Khuda ke dekh lo
Buroz-e-Hasher kham jabeen-e-Murtaza ke dekh lo
Ali ke dushmano hasad ki aag mein jala karo
Sune ga kaun hashr mein, hazaar iltija karo
Kaha na tha yeh hum ne is marz ki kuch dawa karo
Ali Ali kya karo, Ali Ali kya karo