Nazar Mein Hai Dar-e-Khair-ul-Wara Bahamdulillah
Nazar Mein Hai Dar-e-Khair-ul-Wara Bahamdulillah
Nazar mein hai dar-e-khair-ul-wara bahamdulillah
Qubool ho gayi meri dua bahamdulillah
Chali hai un ke karam ki hawa bahamdulillah
Har aik saans hai mehve sana bahamdulillah
Dar-e-Huzoor par jab bhi dua ko lab kholay
Mila hai mujh ko talab se siwa bahamdulillah
Yahi hai mera asasa, yahi meri poonji
Nabi ki naat hai sab kuch mera, bahamdulillah
Basi hui hai wahan aaj bhi mehak unki
Mein dekh aaya hoon ghar-e-Hira, bahamdulillah
Hum ahl-e-naat ka shaam o sahar yahi mamool
Kabhi sana kabhi hamd-e-khuda, bahamdulillah
Nabi ki naat ka mausam hai shaakh-e-hasti par
Gul-e-khayal hai mehka hua, bahamdulillah
Mein is karam ke tasadduq, mein is ata pe nisaar
Mera naseeb hai madah o sana bahamdulillah
Faza-e-fikr ko rakhta hai mushkbu suroor
Khayal-e-naat hai misl-e-saba bahamdulillah