Kalams Page

Nazar Ik Chaman Se Do Chaar Hai, Na Chaman Chaman Bhi Nisaar Hai

Poet: Ahmed Raza Khan Barelvi | Book: Hadaiq-e-Bakhshish | Type: Naat

Nazar Ik Chaman Se Do Chaar Hai, Na Chaman Chaman Bhi Nisaar Hai


Nazar ik chaman se do chaar hai, na chaman chaman bhi nisaar hai
Ajab us ke gul ki bahaar hai, ke bahaar bulbul-e-zaar hai

Na dil-e-bashar hi figaar hai, ke malak bhi us ka shikaar hai
Yeh jahan ke hazhdah hazaar hai, jise dekho us ka hazaar hai

Nahin sar ke sajda kunaan na ho, na zabaan ke zamzama khwaan na ho
Na woh dil ke us pe tapaan na ho, na woh seena jis ko qaraar hai

Woh hai bheeni bheeni wahan mehak, ke basa hai arsh se farsh tak
Woh hai pyari pyari wahan chamak, ke wahan ki shab bhi nahaar hai

Koi aur phool kahaan khile, na jagah hai joshish-e-husn se
Na bahaar aur pe rukh kare, ke jhapak palk ki to khaar hai

Yeh saman, yeh sosan o yaasaman, yeh banafsha, sunbul o nastaran
Gul o sarw o laalah bhara chaman, wohi ek jalwa hazaar hai

Yeh saba sunehri, woh kali chatak, yeh zabaan chehak, lab-e-jo chhalak
Yeh mehak jhalak, yeh chamak damak, sab usi ke dam ki bahaar hai

Wohi jalwa sheher ba sheher hai, wohi asl-e-aalam o dahr hai
Wohi bahr hai, wohi lehr hai, wohi paat hai, wohi dhaar hai

Woh na tha to baagh mein kuch na tha, woh na ho to baagh ho sab fana
Woh hai jaan, jaan se hai baqaa, wohi ban hai, ban se hi baar hai

Yeh adab ke bulbul-e-benawa, kabhi khul ke kar na sake nawa
Na saba ko teiz rawish rawaa, na chhalakti nehron ki dhaar hai

Be-adab jhuka lo sar-e-wila, ke main naam loon gul o baagh ka
Gul-e-tar Muhammad-e-Mustafa, chaman un ka paak diyar hai

Wohi aankh un ka jo munh take, wohi lab ke mahw hoon na’at ke
Wohi sar jo un ke liye jhuke, wohi dil jo un pe nisaar hai

Yeh kisi ka husn hai jalwa-gar, ke tapaan hain khoobon ke dil jigar
Nahin chaak jaib-e-gul o sehar, ke qamar bhi seena figaar hai

Wohi nazr-e-shah mein zar-e-niku, jo ho un ke ishq mein zard roo
Gul-e-khuld us se ho rang jo, yeh khizaan woh taazah bahaar hai

Jise teri saf-e-ni’aal se, mile do nawale nawaal se
Woh bana ke us ke ugaal se, bhari saltanat ka udhaar hai

Woh uthhein chamak ke tajalliyan, ke mita dein sab ki ta’alliyan
Dil o jaan ko bakhshain tasalliyan, tera noor baar-e-du haar hai

Rusul o malak pe durood ho, wohi jaane un ke shumaar ko
Magar ek aisa dikha to do, jo shafi’-e-roz-e-shumaar hai

Na hijaab charkh o Maseeh par, na Kaleem o Toor nihaan magar
Jo gaya hai arsh se bhi udhar, woh Arab ka naaqa-sawaar hai

Woh teri tajalli-e-dil nasheen, ke jhalak rahe hain falak zameen
Tere sadqe mere mah-e-mubeen, meri raat kyun abhi taar hai

Meri zulmatain hain sitam magar, tera mah na mehr ke mehr-gar
Agar ek chheent padey idhar, shab-e-daaj abhi to nahaar hai

Gunah-e-Raza ka hisaab kya, woh agarche laakhon se hain siwa
Magar ai 'Affu tere 'Afw ka, na hisaab hai na shumaar hai

Tere deen-e-paak ki woh ziya, ke chamak uthi rah-e-Istafa
Jo na maane aap saqar gaya, kahin noor hai kahin naar hai

Koi jaan bas ke mehak rahi, kisi dil mein us se khatak rahi
Nahin us ke jalwe mein yak rahi, kahin phool hai kahin khaar hai

Woh jise Wahabiya ne diya, hai laqab shaheed o zabeeh ka
Woh shaheed-e-Laili-e-Najd tha, woh zabeeh-e-tegh-e-khiyaar hai

Yeh hai deen ki taqviyat us ke ghar, yeh hai mustaqeem sirat-e-shar
Jo shaqi ke dil mein hai gaao khar, to zabaan pe chhoṛha chmaar hai

Woh Habib pyara to umr bhar, kare faiz o jood hi sar ba sar
Are tujh ko khaaye tap-e-saqr, tere dil mein kis se bukhaar hai

Woh Raza ke neyzah ki maar hai, ke adu ke seena mein ghaar hai
Kise chaara-ju'i ka waar hai, ke yeh waar waar se paar hai