Nayyar-e-Azmat-e-Kirdar Janab Haidar
Nayyar-e-Azmat-e-Kirdar Janab Haidar
Nayyar-e-azmat-e-kirdar janab Haidar
Sar basar matla-e-anwar janab Haidar
Qariya-e-ilm ke dar, taj-e-risalat ke gahar
Ma'rifat ke yam-e-zakhaar janab Haidar
Bazm mein mauj-e-nikhat ki tarah narm o gudaaz
Razm mein surat-e-kahsaar janab Haidar
Ek aaina-e-anwar ba chashm-e-imaan
Ek ganjina-e-asraar janab Haidar