Kalams Page

Naseeb Chamke Hain Farshiyon Ke Ke Arsh Ke Chaand Aarahe Hain

Poet: Ilyas Attar Qadri | Book: Wasaail-e-Bakhshish | Type: Naat

Naseeb Chamke Hain Farshiyon Ke Ke Arsh Ke Chaand Aarahe Hain


Naseeb chamke hain farshiyon ke ke arsh ke chaand aarahe hain
Jhalak se jin ki falak hai roshan woh shams tashreef laa rahe hain

Zamana palta hai rut bhi badli, falak pe chhaai hui hai badli
Tamam jungle bhare hain jal thal hare chaman lehlaha rahe hain

Hain wajd mein aaj daaliyan kyon yeh raqs patton ko kyon hai shaayad
Bahar aayi yeh mujda laayi ke Haq ke mehboob aa rahe hain

Khushi mein sab ki khuli hain baachain rachi hai shaadi machi hain dhoomen
Charand idhar khilkhila rahe hain parind udhar chehchaah rahe hain

Nisaar teri chahal pehal par hazaar eiden Rabi-ul-Awwal
Siwaye Iblis ke jahan mein sabhi to khushiyan ma rahe hain

Shab-e-Wiladat mein sab musalman na kyon karen jaan o maal qurban
Abu Lahab jaise sakht kafir khushi mein jab faiz paa rahe hain

Zamana bhar mein yeh qaida hai ke jis ka khana ussi ka gaana
Tu neematain jin ki kha rahe hain, unhi ke hum geet gaa rahe hain

Habib-e-Haq hain Khuda ki neimat bin-ni'mat-e-rabbika fahaddis
Khuda ke farmaan par amal hai jo bazm-e-Moula saja rahe hain

Tabaraka Allah hukoomat un ki zameen to kya shay hai aasmaan par
Kya ishare se chand tukde chhupa hua khor bula rahe hain

Main tere sadqa zameen-e-Taybah fida na kyon tujh pe ho zamana
Ke jin ki khatir bana zamana woh tujh mein aaram paa rahe hain

Hain jeete jee ke yeh saare jhagre machi jo aankhein tamam chhoote
Kareem jalwa wahan dikhana jahan ke sab munh chhupa rahe hain

Jo qabr mein apni unko paon pakad ke daaman machal hi jaaun
Jo dil mein reh ke chhupe the mujh se woh aaj jalwa dikha rahe hain

Nakeer ko pehchanta hoon unko yeh mere aaqa yeh mere data
Magar tum un se to itna poocho yeh mujh ko apna bata rahe hain

Khuda ke woh hain khudaai un ki Rab un ka Moula woh sab ke aaqa
Nahi Khuda tak rasai un ki jo un se naa-ashaana rahe hain

Tamam duniya hai milk jin ki hai jo ki roti khoraak un ki
Kabhi khajooron pe hai guzaara kabhi chhuwaray hi kha rahe hain

Phansa hai bahr-e-alam mein beera payye Khuda naakhuda sahara
Aikla Saalik hain sab mukhalif humoom-e-duniya sata rahe hain