Nahi Hai Koi Duniya Mein Hamara Ya Rasool Allah

Nahi hai koi duniya mein hamara ya Rasool Allah
Fqat hai aap hi ka ik sahara ya Rasool Allah
Sarapa ma'siyat hoon bar hai be had gunahon ka
Bachana naar-e-dozakh se Khuda ra ya Rasool Allah
Fqat hai aap hi ka ik sahara ya Rasool Allah
Talatum khaiz hai darya bhanwar mein hai meri kashti
Nazar aata nahi koi kinara ya Rasool Allah
Fqat hai aap hi ka ik sahara ya Rasool Allah
Fqat aamaal ke badle na payega koi jannat
Na ho ga jab talak tera ishara ya Rasool Allah
Fqat hai aap hi ka ik sahara ya Rasool Allah
Haqiqat mein bohot barh kar keh hai arsh-e-moalla se
Zameen jis par ho naqsh-e-pa tumhara ya Rasool Allah
Fqat hai aap hi ka ik sahara ya Rasool Allah
Tarapta hai mera dil aur tarasti hain bohot aankhein
Bula lo phir Madine mein dobara ya Rasool Allah
Fqat hai aap hi ka ik sahara ya Rasool Allah
Gunah gaaran-e-ummat ka khajal hona saza pana
Teri rehmat ko kab ho ga gawara ya Rasool Allah
Fqat hai aap hi ka ik sahara ya Rasool Allah
Dam-e-aakhir zara Hasaam par itna karam karna
Ke us ke lab par ho kalma tumhara ya Rasool Allah