Naar-e-dozakh Ko Chaman Kar De Bahar-e-aariz
Naar-e-dozakh Ko Chaman Kar De Bahar-e-aariz
Naar-e-dozakh ko chaman kar de bahar-e-aariz
Zulmat-e-hashar ko din kar de nahar-e-aariz
Main to kya cheez hoon khud sahib-e-Quran ko shaha
Laakh mus-haf se pasand aayi bahar-e-aariz
Jaise Quran hai wird iss gul-e-mahboobi ka
Yun hi Qur'an ka wazifa hai waqar-e-aariz
Garchah Qur'an hai na Qur'an ki barabar lekin
Kuch to hai jis pe hai woh madah nigar-e-aariz
Toor kya arsh jale dekh ke woh jalwah-e-garm
Aap aariz ho magar aina-e-daar-e-aariz
Tarfah aalam hai woh Qur'an idhar dekhein udhar
Mus-haf-e-pak ho hairan bahar-e-aariz
Tarjuma hai yeh sifat ka woh khud aina-e-zaat
Kyun na mus-haf se zyada ho waqar-e-aariz
Jalwa farmaein rukh-e-dil ki siyahi mit jaye
Subah ho jaye ilahi shab-e-taar-e-aariz
Naam-e-haq par kareh mahboob dil o jaan qurban
Haq kare arsh se ta farsh nisaar-e-aariz
Mushk bu zulf se rukh chehra se baalon mein shuaa
Mo'jiza hai halab-e-zulf o tatar-e-aariz
Haq ne bakhsha hai karam nazar-e-gadayan ho qubool
Pyare ik dil hai woh karte hain nisaar-e-aariz
Aah bay maayagi-e-dil ke Raza aye mohtaaj
Le kar ik jaan chala beher nisaar-e-aariz