Na Poochiye Ke Kya Hussain Hai
Na Poochiye Ke Kya Hussain Hai Na Poochiye Ke Kya Hussain Hai
Na poochiye ke kya hussain hai na poochiye ke kya hussain hai
Mera badshah hussain hai mera badshah hussain hai
Amal ka rahnuma bhi jo shahoon ka hai shah bhi
Aisa shehenshah hussain hai
Suno suno ye deen to hussain ka humein inaam hai
Ye baat kis qadar hussain jo keh gaye Moeen ud din
Ke deen ki panah hussain hai
Shaheed woh shaheed hai shaheedon ko bhi jin pe naaz hai
Ye ho chuka hai faisla na koi doosra Khuda
Na koi doosra hussain hai
Duaon mein nawaon mein unhein waseela jo banaye ga
Na raaste mein mod hai na waaste mein mod hai
Aisi seedhi raah hussain hai
Shaheed e Karbala ka naam jisko nagawar hai
Woh bad nazar hai bad nasab unhein mein ye shumaar hai
Aray o munkir e azal tu mar zara qabr mein chal
Pata chale ga kya hussain hai
Fana ke baad phir mujhe nai hayat mil gayi
Azaab se ataab se mujhe nijat mil gayi
Sawaal jab kiya gaya hai kaun tera peshwa
To maine keh diya hussain hai