Na Mere Sukhan Ko Sukhan Kaho
Na Mere Sukhan Ko Sukhan Kaho
Na mere sukhan ko sukhan kaho
Na meri nawa ko nawa kaho
Meri jaan ko sahan-e-haram kaho
Mere dil ko Gaar-e-Hira kaho
Main likhun jo madah sha-e-umm
Par Jibraeel bane qalam
Main hoon ek zara be-daram
Magar Aftaab-e-thana kaho
Talab sha-e-arabi karun
Main tawaf-e-hub-e-nabi karun
Magar ek be-adabi karun
Mujhe us gali ka gadda kaho
Na dhanak na tara na phool hoon
Qadam huzoore ki dhool hoon
Main shaheed-e-ishq-e-Rasool hoon
Meri maut ko bhi baqa kaho
Jo ghareeb ishq-nawrd ho
Usay kyun na khwahish-e-dard ho
Mera chehra kitna hi zard ho
Meri zindagi ko hara kaho
Mile aap se sanad-e-wafa
Ho buland martaba Safa
Main kahun Muhammad ﷺ Mustafa
Kaho tum bhi Salallahu Alayh wa Sallam kaho
Woh paigham hai ke paighambar
Woh hamare jaisa nahi magar
Woh hai ek aayna-e-bashar
Magar isay aks-e-Khuda kaho
Yeh Muzaffar aisa makeen hai
Ke falak pe jis ki zameen hai
Yeh sag-e-buraq nashin hai
Isay shahsawar-e-Saba kaho