Kalams Page

Na Marne Ka Gham Hai Na Jeene Ki Khwahish

Poet: Hamid Badauni | Book: Unknown | Type: Naat

Na Marne Ka Gham Hai Na Jeene Ki Khwahish


Na marne ka gham hai na jeene ki khwahish
Madine ka gham hai, madine ki khwahish

Fida tujh pe ho jayein tere fidai
Ye khwahish hai kahiye qareene ki khwahish

Madine mein rehne ki hasrat hai dil mein
Madine mein hai marne, jeene ki khwahish

Ab hauz-e-kausar hai mastoon ka mela
Umnagon pe hai aaj peene ki khwahish

Safar sawaay tayyiba ho jis mein hamara
Hai us saal ki us mahine ki khwahish

Madine mein ja kar na aana ho ya Rab
Ho is tarah poori madine ki khwahish

Madine pahunch kar, madine mein reh kar
Wo marne ka armaan, wo jeene ki khwahish

Mubarak ho rizwan tujhe itra-e-jannat
Humein hai nabi ke paseene ki khwahish

Rahe dil mein Hamed ke ya Rab humesha
Madine ki khwahish, madine ki khwahish