Kalams Page

Na Koi Aap Jesa Hai Na Koi Aap Jesa Tha

Poet: Unknown | Book: Unknown | Type: Naat

Na Koi Aap Jesa Hai Na Koi Aap Jesa Tha


Na koi aap jesa hai na koi aap jesa tha
Koi Yusuf se pooche Mustafa ka husn kaisa tha
Zameen o Aasman mein koi bhi misaal na mili
Mawla ya salli wa sallim daaiman abada ala habeebika khairil khalqi kullihim

Daleel zindagi woh hain kamal bandagi woh hain
Koi bhi daur ho us mein meraaj aadmi woh hain
Wohi to deen o duniya hain jo baatein aap ne kahin
Mawla ya salli wa sallim daaiman abada ala habeebika khairil khalqi kullihim

Koi bhi baat ho har hukam unka motabar aisa
Ke unka haan nahi kehna bhi hai Quran ke jaisa
Hadees e pak kahlayein jo baatein aap ne kahin
Mawla ya salli wa sallim daaiman abada ala habeebika khairil khalqi kullihim

Durood un par salam un par yahi kehna Khuda ka hai
Khuda ke baad jo hai martaba sale ala ka hai
Wohi sardar e aalam hain woh ghamkhwar e ummat hain
Wohi to hashr ke maidan mein sab ki shafaat hain
Shafaat ke liye sab ki nazar un par lagi hogi.
Mawla ya salli wa sallim daaiman abada ala habeebika khairil khalqi kullihim