Kalams Page

Na Aasmaan Ko Yun Sar-kashida Hona Tha

Poet: Ahmed Raza Khan Barelvi | Book: Hadaiq-e-Bakhshish | Type: Naat

Na Aasmaan Ko Yun Sar-kashida Hona Tha


Na aasmaan ko yun sar-kashida hona tha
Huzoor-e-khaak-e-Madina khamida hona tha

Agar gulon ko khizaan naarsida hona tha
Kinaar-e-khaar-e-Madina dameeda hona tha

Huzoor un ke khilaaf-e-adab thi betaabi
Meri umeed! tujhe aarmeeda hona tha

Nazaara khaak-e-Madina ka aur teri aankh
Na isqadr bhi qamar shokh deeda hona tha

Kinaar-e-khaak-e-Madina mein raahtein milti
Dil-e-hazeen! tujhe ashk chakeeda hona tha

Panaah-e-daaman-e-dasht-e-haram mein chain aata
Na sabr dil ko ghazal-e-rameeda hona tha

Ye kaise khilta ke unke siwa shafi nahi
Abas na auron ke aage tapida hona tha

Hilaal kaise na banta ke maah-e-kaamil ko
Salaam-e-abroo-e-shah mein khamida hona tha

La-amla-anna jahannam tha wa'ade-e-azali
Na munkiron ka abas bad-aqeeda hona tha

Naseem kyun na shameem un ki taiba se laati
Ke subh-e-gul ko garebaan dareeda hona tha

Tapakta rang-e-junoon ishq-e-shah mein har gul se
Rag-e-bahar ko nishter raseeda hona tha

Baja tha arsh pe khaak-e-mazaar-e-paak ko naaz
Ke tujhe sa arsh nasheen aafreeda hona tha

Guzarte jaan se ek shor "Ya Habeeb" ke saath
Fughan ko naala-e-halq bureeda hona tha

Mere Kareem gunaah zehar hai magar aakhir
Koi to shehad-e-shafaat chasheeda hona tha

Jo sang-e-dar pe jabeen saiyon mein tha mitna
To meri jaan sharaar-e-jaheeda hona tha

Tere qaba ke na kyun neeche neeche daaman hon
Ke khaaksaron se yaan kab kasheeda hona tha

Raza jo dil ko banana tha jalwa gaah-e-Habeeb
To pyaare qaid khudi se raheeda hona tha