Mustafa Zaat-e-yakta Aap Hain
Mustafa Zaat-e-yakta Aap Hain
Mustafa zaat-e-yakta aap hain
Yek ne jisko yek banaya aap hain
Aap ki talaat ko dekha jaan di
Qabr mein pohcha to dekha aap hain
Aap jaisa koi ho sakta nahin
Apni har khoobi mein tanha aap hain
Aap ki khaatir banaye do jahan
Apni khaatir kya banaya aap hain
Aap se khud aap ka saail hoon main
Jaan-e-jaan meri tamanna aap hain
Har dart aamad gada bahr-e-salaam
Ho bhala Akhtar ka daata aap hain