Mustafa Khair-ul-wara Ho
Mustafa Khair-ul-wara Ho
Mustafa khair-ul-wara ho
Sarwar-e-har dosra ho
Apne achhon ka tasadduq
Hum badoon ko bhi nibaho
Kis ke phir ho kar rahein hum
Gar tumhein hum ko na chaho
Bad hansein tum un ki khaatir
Raat bhar roon karah ho
Bad karein har dam burai
Tum kaho un ka bhala ho
Hum wohi nashusta roo hain
Tum wohi bahr-e-ata ho
Hum wohi shayan-e-rad hain
Tum wohi shan-e-sakha ho
Hum wohi be-sharm o bad hain
Tum wohi kaan-e-haya ho
Hum wohi nang-e-jafa hain
Tum wohi jaan-e-wafa ho
Hum wohi qabil-e-saza ke
Tum wohi rahm-e-Khuda ho
Charakh badle, dahr badle
Tum badalne se waraa ho
Ab humein ho sahw haasha
Aisi bhoolon se juda ho
Umar bhar to yaad rakha
Waqt par kya bhoolna ho
Waqt-e-pedaish na bhoole
Kaifa yansa, kyun qaza ho
Yeh bhi Maula arz kar doon
Bhool agar jao to kya ho
Woh ho jo tum par giraan hai
Woh ho jo hargiz na chaho
Woh ho jiska naam lete
Dushmanon ka dil bura ho
Woh ho jiske rad ki khaatir
Raat din waqf-e-dua ho
Mar mitain barbaad banday
Khaana aabaad aag ka ho
Shaad ho Iblees mal’oon
Gham kise us qahr ka ho
Tum ko ho wallah tum ko
Jaan o dil tum par fida ho
Tum ko gham se Haq bachaye
Gham adu ko jaan-gaza ho
Tum se gham ko kya ta’alluq
Bekason ke gham zuda ho
Haq duroodein tum pe bhejey
Tum mudam us ko saraho
Woh ata dey, tum ata lo
Woh wohi chahe jo chaho
Bar tu o pashad to bar maa
Taa abad yeh silsila ho
Kyun Raza mushkil se dariye
Jab Nabi mushkil-kusha ho