Kalams Page

Mulk-e-Wala Ke Syed-o-Sultan Hain Ali

Poet: Unknown | Book: Unknown | Type: Manqabat

Mulk-e-Wala Ke Syed-o-Sultan Hain Ali


Mulk-e-Wala ke Syed-o-Sultan hain Ali
Roz-e-Azal se pehlay Musalman hain Ali

Banday Khuda ke bandagi ki shan hain Ali
Mushkil Kusha laqab Shah-e-Mardan hain Ali

Natiq-e-Qur’an ki natbah bahiy-e-jali khafi
Mola-e-Rasool mein yekjaan hain Ali

Rasta na shehr-e-ilm ka jis dar ke masiwa
Is shehr-e-ilm ke dar-o-darban hain Ali

Aarif kahin kinara na us behar-e-ilm ka
Jaan-e-Khuda ka bolta Qur’an hain hai

Sattar shutur ka bar ho Tafseer-e-Fatiha
Naam Khuda woh maahir Quraan hain Ali

Millat gham na sirka-e-rafz-o-arooj ka
Sayyab sab shikan to negahban hain Ali

Naam Khuda se naat mein Mahmood yoon kaho
Qur’an ka ilm, ilm ka Qur’an hain Ali