Kalams Page

Mujhe Kya Aitmad Alfaaz Ki Jadu Gari Par Hai

Poet: Mansoor Afaq | Book: Unknown | Type: Naat

Mujhe Kya Aitmad Alfaaz Ki Jadu Gari Par Hai


Mujhe kya aitmad alfaaz ki jadu gari par hai
Teri tausif ek ehsan meri shairi par hai

Tere darbar se kuch maangna gar kufr tehra hai
To main kafir hun mujh ko naaz apni kafiri par hai

Teri rif'at tafakkur ki hudood-e-fahm se bala
Tera irfaan tanz-e-mustaqil danishwari par hai

Sarapa naaz ho kar bhi niaz-e-ishq ke sajde
Khuda ko fakhr bas tere khuloos-e-dilbari par hai

Sala-e-aam hai woh nabz-e-hasti tham le aakar
Jo koi mu'tariz aaqa teri charagari par hai

Mujhe taskheer-e-Yazdan ka amal maloom hai Mansoor
Karam khak-e-madinah ka meri deeda wari par hai