Mujh Ko Hai Meri Jaan Se Pyara Ali Ali
Mujh Ko Hai Meri Jaan Se Pyara Ali Ali
Mujh ko hai meri jaan se pyara Ali Ali
Har waqt yun zubaan par aaya Ali Ali
Hasnain bhi, Batool bhi, raazi hain Mustafa
Us se keh jis ne dil se pukara Ali Ali
Tu hai Akhi Rasool ka, Zauj-e-Batool bhi
Hasnain se bachon ka baba Ali Ali
Farmaya Mustafa ne pakar kar Ali ka hath
Jis ka Nabi hai Maula hai us ka Ali Ali
Haara jo teen baar to bola woh Abd-e-Wudd
Fatih tumhi ho, aaj main haara Ali Ali
Na qabil-e-shikast tha Marhab bah zaam-e-khud
Us ko to ek waar mein maara Ali Ali
Teri namaaz-e-asr jo chhuti, tere liye
Sooraj palat ke Asr par aaya Ali Ali
Saabit hua jo azmat-e-Islam ka nishaan
Jhanda woh tere hath mein aaya Ali Ali
Aal-e-Nabi ke dar ka hoon jaroob kash Jaleel
Karta hoon un ki naukri, kehta Ali Ali