Mujh Khata Kaar Sa Insaan Madeene Mein Rahe
Mujh Khata Kaar Sa Insaan Madeene Mein Rahe
Mujh khata kaar sa insaan Madeene mein rahe
Ban ke Sarkarؐ ka mehmaan Madeene mein rahe
Yaad aati hai mujhe Ahl-e-Madina ki yeh baat
Zinda rehna ho to insaan Madeene mein rahe
Allah Allah sar afraazi-e-sahraye Hijaz
Saari makhlooq ka Sultan Madeene mein rahe
Door reh kar bhi uthata hoon huzoori ke maze
Main yahan aur meri jaan Madeene mein rahe
Yun ada karte hain ishqaq mohabbat ki namaz
Sajda Kaabe mein ho aur dhyaan Madeene mein rahe
Un ki shafqat gham-e-konnain bhula deti hai
Jitne din Aapؐ ka mehmaan Madeene mein rahe
Chhor aaya hoon dil-o-jaan yeh keh kar Aazm
Aa raha hoon, mera saamaan Madeene mein rahe