Mujda Baad Aye Aasio! Shafi’e Shah-e Abrar Hai
Mujda Baad Aye Aasio! Shafi’e Shah-e Abrar Hai
Mujda baad aye aasio! Shafi’e Shah-e Abrar hai
Tehniyat aye mujhrimo! Zaat-e Khuda Ghaffar hai
Arsh sa farsh-e zameen hai farsh-e paa arsh-e bareen
Kya niraali tarz ki naam-e Khuda raftaar hai
Chaand shaq ho paid bolen jaanwar sajde karein
Baarak Allah marja-e aalam yahi Sarkar hai
Jin ko sooye aasman phaila ke jal thal bhar diye
Sadqa un haathon ka pyare hum ko bhi darkar hai
Lab zulaal-e chashma-e Kun mein gandhe waqt-e khameer
Murde zinda karna aye jaan tum ko kya dushwaar hai
Gore gore paaon chamka do Khuda ke wastay
Noor ka tarkaa ho pyare gour ki shab-e taar hai
Tere hi daaman pe har aasi ki parti hai nazar
Ek jaan-e be khata par do jahan ka baar hai
Josh-e toofaan bahr-e be payan hua naa saazgar
Nooh ke Maula karam kar le to beRa paar hai
Rahmat-ul-lil Aalameen teri duhai dab gaya
Ab to Maula be-tarah sar par guneh ka baar hai
Hairatein hain aaeena daar-e ufoor-e wasf-e gul
Un ke bulbul ki khamoshi bhi lab-e izhaar hai
Goonj goonj uthay hain naghmaat-e Raza se bustaan
Kyun na ho kis phool ki mad’hat mein wa minqaar hai