Kalams Page

Muhammad (S.a.w) Ka Husn O Jamaal Allah Allah

Poet: Muhammad Ali Zahoori | Book: Nawa-e-Zahoori | Type: Naat

Muhammad (S.a.w) Ka Husn O Jamaal Allah Allah


Muhammad (S.A.W) ka husn o jamaal Allah Allah
Woh ik paikar-e-be misal Allah Allah

Na un sa koi khoobru do jahan mein
Na un sa koi khush khisal Allah Allah

Khuda ka hua aur mehmaan na koi
Yeh azmat yeh rutba kamal Allah Allah

Hai zer-e-nagin satwat-e-har do aalam
Muhammad ka roab o jalal Allah Allah

Butan-e-arab pe hua taari larza
Azaan de rahe hain Bilal (R.A) Allah Allah

Sana khawani-e-Mustafa ki badolat
Zahoori hai sheerin maqaal Allah Allah