Muhammad Mustafa Noor-e-khuda Naam-e-khuda Tum Ho
Muhammad Mustafa Noor-e-khuda Naam-e-khuda Tum Ho
Muhammad Mustafa Noor-e-Khuda naam-e-Khuda tum ho
Shah-e-khair-ul-vara shaan-e-Khuda sall-e-ala tum ho
Shakeeb-e-dil qarar-e-jaan Muhammad Mustafa tum ho
Tabeeb-e-dard-e-dil tum ho mere dil ki dawa tum ho
Ghareebon dard mando ke dawa tum ho dua tum ho
Faqeeron beenvao ke sada tum ho nida tum ho
Habeeb-e-kibriya tum ho imam-ul-anbiya tum ho
Muhammad Mustafa tum ho Muhammad Mujtaba tum ho
Hamare malja o mawa hamara aasra tum ho
Thikana be thikano ka shah-e-har dosra tum ho
Ghareebon ki madad bebas ka bas roohi fida tum ho
Sahara be saharon ka hamara aasra tum ho
Na koi mah-wash tum sa na koi mah-jabeen tum sa
Haseenon mein ho tum aise ke mahboob-e-Khuda tum ho
Mein sadke anbiya ke yun to mahboob hain lekin
Jo sab pyaron se pyara hai wo mahboob-e-Khuda tum ho
Haseenon mein tumhein tum ho nabi yon mein tumhein tum ho
Ke mahboob-e-Khuda tum ho nabi-ul-anbiya tum ho
Tumhare husn-e-rangin ki jhalak hai sab haseenon mein
Baharoon ki baharon mein bahar-e-jaan-fiza tum ho
Zameen mein hai chamak kis ki falak par hai jhalak kis ki
Mah khurshid sayyaron sitaron ki diya tum ho
Wo la sani ho tum aqa nahi sani koi jiska
Agar hai dosra koi to apna dosra tum ho
Huwal awwal huwal aakhir huwal zahir huwal baatin
Bikulli shay'in aleem loh-e-mahfooz-e-Khuda tum ho
Na ho sakte hain do awwal na ho sakte hain do akhir
Tum awwal aur aakhir, ibtida tum intiha tum ho
Khuda kehte nahi banti juda kehte nahi banti
Khuda par is ko chhoda hai wahi jaane ke kya tum ho
Ana min Hamid wa Hamid raza minni ke jaluon se
Bihamdillah Raza Hamid hain aur Hamid-e-Raza tum ho