Kalams Page

Muhammad Mustafa Ne Kis Qadr Eijaaz Farmaya

Poet: Unknown | Book: Unknown | Type: Naat

Muhammad Mustafa Ne Kis Qadr Eijaaz Farmaya


Muhammad Mustafa ne kis qadr eijaaz farmaya
Shutur bano ko shahon ki tarah mumtaaz farmaya

Arab ke reg zaron mein jo oonton ko charh'tay thay
Inhe duniya ki sultani se sarafraz farmaya

Koi un ki murrawat ka karay inkar to kyon kar
Jinhon ne har adawat ko nazar andaz farmaya

Jab apne dushmanon ko bakhsh dena ghair mumkin tha
Huzoor pak ne is rasm ka aghaz farmaya

Wo insaan qatl-o-gharat mein darindon se jo barh kar tha
Usi ko aap ne insaan ka damsaz farmaya

Jo ahl-e-falsafa ki aql ki sar'had se bahar tha
Arab ke aik ummi ne aiyan wo raaz farmaya

Unhi ke wastay ye mehfil-e-hasti muzayyan hai
Khuda ne aik bashar ka kis qadr aizaaz farmaya

Kisi insaan ki azmat is se barh kar kya ho aye Bazmi!
Khuda ne aap ke akhlaaq par khud naaz farmaya