Muhammad Maz'har-e-kaamil Hai Haq Ki Shaan-e-izzat Ka
Muhammad Maz'har-e-kaamil Hai Haq Ki Shaan-e-izzat Ka
Muhammad maz'har-e-kaamil hai Haq ki shaan-e-izzat ka
Nazar aata hai is kasrat mein kuch andaaz wahdat ka
Yahi hai asal aalam-e-maadda ijaad-e-khalqat ka
Yahan wahdat mein barpa hai ajab hungama kasrat ka
Gada bhi muntazir hai khald mein nekon ki dawat ka
Khuda din khair se laaye sakhi ke ghar ziyaafat ka
Gunah maghfoor, dil roshan, khanak aankhen, jigar thanda
Ta'ala Allah! Maah-e-Tayyiba aalam teri taallat ka
Na rakhi gul ke josh-e-husn ne gulshan mein jaa baaqi
Chhatakta phir kahan ghuncha koi bagh-e-risaalat ka
Barha yeh silsila rehmat ka daur-e-zulf-e-waala mein
Tasalsul kaale koson reh gaya isyan ki zulmat ka
Saf-e-maatam uthay, khaali ho zindaan, tootein zanjeerein
Gunahgaro! chalo Maula ne dar khola hai jannat ka
Sikhaya hai yeh kis gustaakh ne aaina ko Ya Rab
Nazzara rooy-e-jaan'n ka bahaana kar ke hairat ka
Idhar ummat ki hasrat par udhar Khaaliq ki rehmat par
Nirala taur hoga gardish-e-chashm-e-shifaat ka
Barhein is darja moujein kasrat-e-afzaal-e-waala ki
Kinara mil gaya is nehr se darya-e-wahdat ka
Kham-e-zulf-e-Nabi sajid hai mehrab-e-do abroo mein
Ke Ya Rab tu hi wali hai siyah kaaran-e-ummat ka
Madad ae joshish-e-giriya baha de koh aur sahra
Nazar aa jaye jalwa be-hijaab us paak turbat ka
Hue kamkhaabiya hijran mein saaton parde kamkhaabi
Tasawwur khoob baandha aankhon ne astaare turbat ka
Yaqeen hai waqt-e-jalwa lagzishen paaye nigah paaye
Mile josh-e-safaaye jism se paaboos Hazrat ka
Yahan chhidka namak waan marham-e-kafoor haath aaya
Dil-e-zakhmi namak parwarda hai kis ki malahatt ka
Ilahi muntazir hoon woh khiraam-e-naaz farmaayein
Bichha rakha hai farsh aankhon ne kamkhaab-e-basaarat ka
Na ho Aaqa ko sajda Adam o Yusuf ko sajda ho
Magar sadd-e-zaraye daab hai apni shari'at ka
Zabaan-e-khaar kis kis dard se un ko sunaati hai
Tarapna dasht-e-Tayyiba mein jigar afgar furqat ka
Sirhaane un ke bismil ke yeh betaabi ka maatam hai
Shah-e-Kausar tarahhum tishna jaata hai ziyaarat ka
Jinhein marqad mein taa hashr ummati keh kar pukaarein ge
Humein bhi yaad kar lo un mein sadqa apni rehmat ka
Woh chamken bijliyaan Ya Rab tajalli-haaye jaan'n se
Ke chashm-e-Toor ka surma ho dil mushtaaq rooyat ka
Raza-e-khasta! josh-e-bahr-e-isyan se na ghabraana
Kabhi to haath aa jaaye ga daaman un ki rehmat ka