Kalams Page

Muflis-e-Zindagi Ab Na Samjhe Koi

Poet: Muzaffar Warisi | Book: Ummi Laqbi | Type: Naat

Muflis-e-Zindagi Ab Na Samjhe Koi


Muflis-e-zindagi ab na samjhe koi
Mujh ko ishq-e-nabi is qadar mil gaya
Jagmagae na kyun mera aks-e-daroo
Ek patthar ko aaeena gar mil gaya

Jis ki rehmat se taqdeer insaan khule
Us ki janib hi darwaza-e-jaan khule
Jane umr-e-rawaan le ke jati kahan
Khair se mujh ko Khairul Bashar mil gaya

Mahwar-e-do jahan zaat Sarkar ki
Aur meri haisiyat ek parkar ki
Us ki ik reh-guzar tay na ho umr bhar
Qibla-e-aarzoo to magar mil gaya

Us ka deewana hoon us ka majzoob hoon
Kya ye kam hai ke main us se mansoob hoon
Sarhad-e-hashar tak jaunga be dharak
Mujh ko itna to zaad-e-safar mil gaya

Jis taraf se bhi guzrein meri khwahishein
Mujh se bach kar nikalti rahin lagzishen
Jab jhukai nazar jhuk gaya mera sar
Naqsh-e-pa us ka har morr par mil gaya

Zehen be rang tha saans be roop thi
Rooh par masiyat ki kadi dhoop thi
Us ki chashm-e-ghani raunaq-e-jaan bani
Chaaon jis ki ghani wo shajar mil gaya

Jab se mujh par hua Mustafa ka karam
Ban gaya dil Muzafar charagh-e-haram
Zindagi phir rahi thi bhatakti hui
Meri khana badoshi ko ghar mil gaya