Kalams Page

Muammad Mustafa Aaye Baharon Par Bahar Aayi

Poet: Unknown | Book: Unknown | Type: Naat

Muammad Mustafa Aaye Baharon Par Bahar Aayi


Muammad Mustafa aaye baharon par bahar aayi
Zamin ko choomne jannat ki khushboo bar bar aayi

Janab Amina ka chand jab chamka zamane mein
Qamar ki chandni qadmon pe hone nisaar aayi

Haleema do jahan qurban hon tere muqaddar par
Tere kachay se ghar mein rehmat parwardigar aayi

Jabhi to hai mehak uthi ye alam ki faza saari
Hai gesu choom kar un ke naseem khushgawar aayi

Bari mayoos thi daai Haleema jab gayi Makay
Magar aayi to le kar do jahan ka tajdar aayi

Wo aaye to mana di ho gayi Saem zamane mein
Bahar aayi bahar aayi bahar aayi bahar aayi