Mili Na Dolat-e-Irfaan Bujaz Nigaah-e-Aliؑ
Mili Na Dolat-e-Irfaan Bujaz Nigaah-e-Aliؑ
Mili na dolat-e-irfaan bujaz nigaah-e-Aliؑ
Ameen-e-raaz-e-nubuwwat hai baargaah-e-Aliؑ
Pari hai roo'e Nabi par kuch is aqidat se
Ke aaj tak na kisi par uthi nigaah-e-Aliؑ
Fidaaye Toor ho kiyonkar gadaaye koo'e Najaf
Hazar Toor badamaan hai jalwa gaah-e-Aliؑ
Gunah gaaron ki bakhshish ke do waseele hain
Nigaah-e-Mustafavi lutff-e-be panaah Aliؑ
Khush-a naseeb ke mere liye uda laai
Hawaaye koo'e Muhammad ghubaar-e-raah-e-Aliؑ
Hai unke zikr se aaraish-e-sukhan warna
Mire khayal se barhtar hai az o jaah-e-Aliؑ
Uthe ga arsa-e-mahshar mein surkh roo Aa'zm
Gadaaye koocha'e Shabbir o khairkhuwaah-e-Aliؑ