Kalams Page

Mil Gaya Un Ka Dar Aur Kya Chahiye

Poet: Suhail Ghazi Puri | Book: Unknown | Type: Naat

Mil Gaya Un Ka Dar Aur Kya Chahiye


Mil gaya un ka dar aur kya chahiye
Ab dua mein asar aur kya chahiye

Sabz gunbad ke saaye mein baitha rahun
Mujh ko phir umr bhar aur kya chahiye

Ab kisi ko yahan fikr-e-manzil nahi
Aap hain rahbar aur kya chahiye

Na'matein dene wale se maangon unhein
Mujh se poochhe agar aur kya chahiye

Samne aastane ki hain jaaliyan
Ae meri chashm-e-tar aur kya chahiye

Phir yaqeenan Suhail un ka hoga karam
Hai unhein bhi khabar aur kya chahiye