Meri Pehchaan Hai Seerat Un Ki
Meri Pehchaan Hai Seerat Un Ki
Meri pehchaan hai seerat un ki
Mera imaan! mohabbat un ki
Aaj hum falsafa kehtay hain jise
Woh masawaat thi aadat un ki
Fatah-e-Makka, mere daway ki daleel
Adl ki jaan, adaalat un ki
Harf-e-Atammat 'alaykum hai gawah
Husn-e-takmeel hai ba'that un ki
Irtiqa is se ijaazat maange
Un ki ho jaye jo ummat un ki
Main ke raazi ba raza-e-rabb hoon
Koi hasrat hai to hasrat un ki
Waqt aur faasla barhaq lekin
Mera fun karta hai bayat un ki