Kalams Page

Meri Janib Bhi Ho Ik Nigah Karam, Aye Shafi Alwari, Khatam Alanbiya

Poet: Unknown | Book: Unknown | Type: Naat

Meri Janib Bhi Ho Ik Nigah Karam, Aye Shafi Alwari, Khatam Alanbiya


Meri janib bhi ho ik nigah karam, aye shafi alwari, khatam alanbiya
Aap noor azal, aap sham-e-haram, aap shams-ud-duha, khatam alanbiya

Aap hain haq nagar, aap mein haq rasan, sidra al-muntaha, aap ke zair pa
Aap hain mazhar-e-zat-e-rab al-ala rehbar-e-haq numa, khatam alanbiya

Aap fakhar-e-ajam aap shan-e-arab, aap fazl-e-atam, aap rehmat laqab
Sarwar zi hasham, shah wala nasab, murtuza, mujtaba, khatam alanbiya

Aap hain wajah takhleeq kon-o-makan, aap ke dam se hain ye zameen asmaan
Aap mein bay nishani ka bain nishan, aye shah dosra, khatam alanbiya

Aye faseeh al-bayan, aye baligh al-lisan, aye wahid al-zaman, mawara-e-guman
Aap ka noor hai az qaran ta qaran, shahid kubriya, khatam alanbiya

Mursil mursalan, sarwar arshiyan, hadi ans-o-jan, muqbil muqbilan
Aap ki zat hai baais kun fakan, raz ard-o-sama, khatam alanbiya