Kalams Page

Mere Syed O Sarwar Ae Habeeb Rabbani

Poet: Unknown | Book: Unknown | Type: Naat

Mere Syed O Sarwar Ae Habeeb Rabbani


Mere Syed o Sarwar ae Habeeb Rabbani
Har tarah se tu aala har tarah se lasani

Mein ke hon tera banda mujh ko bhi ata kar de
Apni woh mohabbat jo hashr tak ho lafani

Tere hijr mein rona bhi to ab nahin bas mein
Khushk ho chuka aaqa meri aankh ka pani

Chahye to agar Aaqa ye fiza badal jaye
Is qadar nahin dekhi izzaton ki arzani

Kainat paida ki Rab ne teri hi khatir
Har kahin, jidhar dekhun, teri jalwa samani

Chahata to hoon sab kuch tujh par mein karun qurbaan
Mere paas hi kya hai doon mein jis ki qurbani

Sakht kashmakash mein hoon, sirf aas hai teri
Ek tu hi apna hai, khalq sari begaani