Mere Nabi Ka Raaj Dulara Ali Ali
Mere Nabi Ka Raaj Dulara Ali Ali
Mere Nabi ka raaj dulara Ali Ali
Ahl-e-wafa ki aankh ka tara Ali Ali
Maula, Huzoor jin ke hain, un ka Ali bhi hai
Sab momino ko jaan se pyara Ali Ali
Aal-e-Nabi hi jain ge pehle behisht mein
Phir jis taraf karen ge ishaara Ali Ali
Tujh ko to dekhna bhi ibadat hai, zikr bhi
Saani bhala hai kaun tumhara Ali Ali
Ilm-e-Nabi ke sheher ka joya hai gar koi
Dar us ke wastay hai tumhara Ali Ali
Marhab jo aaya samne lalkarta hua
Pathkha usay zameen pe maara Ali Ali
Mahfuz hain jo kashti-e-aal-e-Nabi mein hain
Daryaae ranj o gham ka kinara Ali Ali
Sun kar "Walam tu'akh" to Sarkar ne kaha
Duniya o aakhirat mein humara Ali Ali
Quran Ali ke saath, Ali hain ma'a al-Quran
Uqdah khule ga 'haud pe saara Ali Ali
Hum bhi Jaleel unhi ke hain naukar isi liye
Aaye madad ko jab bhi pukara Ali Ali