Kalams Page

Mere Dil Mein Hai Yaad-e-Muhammad ﷺ Mere Honton Pe Zikr-e-Madina

Poet: Sikandar Lucknowi | Book: Unknown | Type: Naat

Mere Dil Mein Hai Yaad-e-Muhammad ﷺ Mere Honton Pe Zikr-e-Madina


Mere dil mein hai yaad-e-Muhammad ﷺ mere honTon pe zikr-e-Madina
Tajdar-e-Haram ke karam se aa gaya zindagi ka qareena

Main ghulam-e-ghulaman-e-Ahmed main sag-e-aastan-e-Muhammad
Qabil-e-fakhr hai maut meri qabil-e-rashk hai mera jeena

Dil shikasta hai mera to kya gham is mein rehte hain Shah-e-Do Aalam
Jab se mehmaan hue hain wo dil mein, dil mera ban gaya hai Madina

Har khata par meri chashm poshi har talab par 'ataon ki barish
Mujh gunah garr par kis qadr hain meherban Tajdar-e-Madina

Mujh ko tofan ki maujon ka kya darr yeh guzar jaen gi rukh badal kar
Nakhuda hain mere jab Muhammad kaise doobega mera safeena

Dolat-e-Ishq se dil ghani hai meri qismat hai rashk-e-Sikandar
Madhat-e-Mustafa ki badolat mil gaya hai mujhe yeh khazeena