Kalams Page

Mere Achay Rasool

Poet: Muzaffar Warisi | Book: Noor-e-Azal | Type: Naat

Mere Achay Rasool


Mere achay Rasool
Kar mujhe mala mal
Meri jholi mein dal
Apne qadmon ki dhool
Mere achay Rasool

Tashnagi ka ilaj
Sang e Aswad ke paas
Charah ikhtilaaj
Sabz gunbad ke paas
Ashk ban kar duaein
Meri palkon pe aaein
Aur sadaein lagaein
Chal Muhammad ﷺ ke paas
Takht mangoon na sej
Koi parwana bhej
Kar mujhe bhi qubool
Mere achay Rasool

Aarzoo e visaal
Jaise baahon mein hoor
Aur dil ka yeh haal
Jaise jalta ho Toor
Tu hi mera madar
Tu hi mera hisar
Tu mere aar paar
Jaise sheeshe se noor
Yun hai tu mere sang
Jaise paani mein rang
Jaise kaanton mein phool
Mere achay Rasool

Teri furqat ki dhoop
Meri fasl bahaar
Teri yaadon ka roop
Mera jeevan singhaar
Aankh jalwa badosh
Rooh ahraam posh
Tere halqa bagoosh
Mere layl o nahar
Ronaq hast o bood
Sirf tera wajood
Tere sachay usool
Mere achay Rasool

Meri saanson ki baadh
Tere aangan ke saath
Mera guzray asaarh
Tere sawan ke saath
Abr e rehmat gawah
Beh gaye sab gunah
Jab se lipti nigah
Tere daaman ke saath
Raah e haq par madam
Chale tera ghulam
Ab na ho koi bhool
Mere achay Rasool