Mere Aaqa Aao Ke Muddat Hui
Mere Aaqa Aao Ke Muddat Hui
Mere Aaqa aao ke muddat hui hai
Teri raah mein Akhiyan bichhate bichhate
Teri hasraton mein teri chaahaton mein
Baday din huay ghar sajate sajate
Mera yeh hai imaan yeh mera yaqeen hai
Mere Mustafa ﷺ sa na koi haseen hai
Ke rukh un ka dekha hai jab se qamar ne
Nikalta hai munh ko chhupate chhupate
Qayamat ka manzar bada pur khatar hai
Magar Mustafa ﷺ ka jo deewana ho ga
Woh pal pay guzray ga masroor ho ke
Nara-e-Nabi ﷺ ka lagate lagate
Mere lab pay Maula na koi sada hai
Faqat mujh nikmay ki yeh hi dua hai
Meri saans niklay dar Mustafa ﷺ pay
Gham dil Nabi ﷺ ko sunate sunate
Yeh dil jab se ishq-e-Nabi mein pada hai
Na din ki khabar hai na shab ka pata hai
Aaqa ab to basarat bhi kam ho gayi hai
Tere gham mein aansu bhaate bhaate
Yeh maana ke ek din aani qaza hai
Magar dosto tum se yeh iltija hai
Ke shehar-e-Muhammad ﷺ ki har ek gali se
Janaza uthana ghumate ghumate
Na Ka’ba se matlab na masjid ki chaahat
Faqat dil mein Haakam-e-Tamanna yehi hai
Jo mil jaye naqsh-e-kaf paaye Ahmad ﷺ
To mar jayein sar ko jhukate jhukate