Kalams Page

Mera Dil Aur Meri Jaan Madine Wale

Poet: Bedam Shah Warsi | Book: Kalam-e-Bedam | Type: Naat

Mera Dil Aur Meri Jaan Madine Wale


Mera dil aur meri jaan Madine wale
Tujh pe so jaan se qurbaan Madine wale

Baaes arz o sama sahib e lolaak lama
Ain Haq soorat e insaan Madine wale

Bhar de bhar de mere daata meri jholi bhar de
Ab na rakh be sar o samaan Madine wale

Kal ke matloob ka mahboob hai mashooq hai tu
Allah Allah re teri shaan Madine wale

Arrre aati hai teri zaat har ek dukhya ke
Meri mushkil bhi ho aasaan Madine wale

Phir tamanaaye ziyaarat ne kiya dil bechain
Phir Madine ka hai armaan Madine wale

Dil bhi mushtaaq shahaadat hai kamanndaar e Arab
Is taraf bhi koi paikan Madine wale

Tera dar chhod ke jaaun tou kahaan jaaun main
Mere aaqa mere sultaan Madine wale

Sagh e Tayyaba mujhe sab keh ke pukarein Baidam
Yahi rakhein meri pehchaan Madine wale