Kalams Page

Mazhar-e-shaan O Shikwah-e-mustafaؐ Maula Ali

Poet: Hafeez Taib | Book: As'habika An-Nujoom | Type: Manqabat

Mazhar-e-shaan O Shikwah-e-mustafaؐ Maula Ali


Mazhar-e-shaan o shikwah-e-Mustafaؐ Maula Ali
Zighm-e-Haq, Bo Turab, o Murtaza Maula Ali

Ek alamat azm o istiqal ki har daur mein
Ek rana paikar-e-faqr o ghina Maula Ali

Aasman-e-itqa woh neyyar-e-burj-e-wala
Qaid-e-ewaan-e-tasleem o raza Maula Ali

Manzilat hai aap ki man kunt maula se ayaan
Hain baja Haroon-e-khair ul anbiyaؐ Maula Ali

Lafata illa Ali hai jin ka aizaaz o sharaf
Woh jari woh mard-e-maidan-e-wafa Maula Ali

Aap ka har faisla ahd aafreen o ahd gar
Maah-e-hikmat barsar, charkh-e-safa Maula Ali

Dilkash o mojiz numa hain un ke khutbat o khutoos
Daur-e-nazuk mein tadabbur ki sada Maula Ali

Kab jahan ne dekha un sa sharah-e-umm ul kitab
Shaan-e-minbar, woh khateeb-e-khosh nawa Maula Ali

Qabil-e-taqleed kirdar un ka sulh o jang mein
Goya har maidan mein thehre rehnuma Maula Ali