Mayusiyon Ka Meri Sahara Tumhi To Ho
Mayusiyon Ka Meri Sahara Tumhi To Ho
Mayusiyon ka meri Sahara tumhi to ho
Mere khayal o khwab ki duniya tumhi to ho
Tabaan hai jis ke noor se duniaye zindagi
Woh shama noor, Noor e Sarapa tumhi to ho
Phirtay hain jis ko dhoondte mehtab o aftaab
Ae hasil e murad wo jalwa tumhi to ho
Hai husn mein tumhare kuch is tarah dil kashi
So bar jis ko dekh kar dekha tumhi to ho
Tum aur sirf tum ho zamana ki aabru
Gesu jahan ka jis ne sanwara tumhi to ho
Tum samne nahi ho to kuch soojhta nahi
Ankhon ka noor, dil ka ujala tumhi to ho
Qurbaan tum par dono jahan ki musarratein
Roz e azal se dil ki tamanna tumhi to ho
Tum wo ke but kade ko bhi Ka'ba bana diya
Maqsud e Ka'ba, Ka'ba ka Ka'ba tumhi to ho
Seena bana hua hai madine ka aaeena
Hamed ke dil mein Syed wala tumhi to ho