Markaz-e-Ilm Hoon Kyu Na Kar Na Janab-e-Siddique
Markaz-e-Ilm Hoon Kyu Na Kar Na Janab-e-Siddique
Markaz-e-ilm hoon kyu na kar na janab-e-siddique
Aik aik lafz Muhammad ﷺ ka nisab-e-siddique
Junbish-e-chashm-e-risalat faras-e-Abdullah
Naqsh-e-pay-e-Shah-e-kawnain, rikab-e-siddique
Jis ki har saans mushakkat ka achhoota shahkar
Us ke maathe ka paseena hai sharaab-e-siddique
Jis ke lehje mein suni hum ne Khuda ki awaaz
Us ne Bubar ko bakhsha hai khutab-e-siddique
Ghotah zan, jis ke kinaron se sadaf chunte hain
Woh sadaqat ka samandar hai sarab-e-siddique
Taan dein chadar-e-anwaar, barasti boondain
Aftabon ko bhi sharmai sahab-e-siddique
Be zuban hogai tarikh qayamat tak ki
Na jawab-e-Shah-e-Bat'ha na jawab-e-siddique
Ibn-e-Usman ka saaya, mere andar ki qaba
Kaar farma meri benaai mein khawab-e-siddique
Naaz hai mujh ko Muzaffar ke main Siddiqi hoon
Mere mazi ki taraf khulta hai bab-e-siddique