Manzar Faza-e-Dahar Mein Sara Ali Ka Hai
Manzar Faza-e-Dahar Mein Sara Ali Ka Hai
Manzar faza-e-dahar mein sara Ali ka hai
Jis simt dekhta hoon, nazara Ali ka hai
Dunya-e-ashti ki phaban, mujtaba Hasan
Lakht-e-jigar Nabi (ﷺ) ka to pyara Ali ka hai
Hasti ki aab-o-taab, Husain aasman janab
Zahra ka laal, raj dulara Ali ka hai
Marhab do neem hai sar-e-maqtal para hua
Uthne ka ab nahin keh yeh maara Ali ka hai
Ae arz-e-pak! Tujh ko Mubarak ke tere paas
Parcham Nabi (ﷺ) ka, chaand sitara Ali ka hai
Ahl-e-hawas ki luqma tar par rahi nazar
Nan-e-jowen pe sirf guzara Ali ka hai
Tum dakhal de rahe ho aqeedat ke baab mein
Dekho! Muamla yeh hamara Ali ka hai
Hum faqir mast, chahne wale Ali ke hain
Dil par hamare sirf ujarha Ali ka hai
Asaar parh ke Mehdi(d) e douran ke yun laga
Jaise zuhoor woh bhi dobaara Ali ka hai
Dunya mein aur kaun hai apna bajuz Ali
Hum bey kaso ko hai tu sahara Ali ka hai
As-haabi ka an-nujoom ka irshad bhi baja
Sab se magar buland sitara Ali ka hai
Tu kya hai aur kya hai tere ilm ke bisaat
Tujh pe karam Naseer yeh saara Ali ka hai