Kalams Page

Makan Arsh Un Ka Falak Farsh Un Ka

Poet: Ahmed Raza Khan Barelvi | Book: Unknown | Type: Naat

Makan Arsh Un Ka Falak Farsh Un Ka


Makan arsh un ka falak farsh un ka
Malk khadiman saraaiy Muhammad ﷺ

Khuda ki raza chahte hain do aalam
Khuda chahta hai razaye Muhammad ﷺ

Ajab kya agar rahm farma le hum par
Khudae Muhammad barae Muhammad ﷺ

Muhammad barae janaab-e-ilahi!
Janaab-e-ilahi barae Muhammad ﷺ

Basi atr-e-mahboobi kibria se
Ubaae Muhammad qubaae Muhammad ﷺ

Baham ahad bandhe hain wasl-e-abd ka
Razaye Khuda aur razaye Muhammad ﷺ

Dam-e-naz jaari ho meri zabaan par
Muhammad Muhammad khudae Muhammad ﷺ

Asaaye Kaleem azhdaaye gazab tha
Giron ka sahara asaaye Muhammad ﷺ

Main qurbaan kiya pyari pyari hai nisbat
Yeh aan-e-Khuda wo khudae Muhammad ﷺ

Muhammad ka dam khaas behar-e-Khuda hai
Siwaa-e-Muhammad barae Muhammad ﷺ

Khuda un ko kis pyar se dekhta hai
Jo aankhen hain mahv liqaae Muhammad ﷺ

Jalo mein ijaabat khasaasi mein rehmat
Barhi kis tuzuk se duaa-e-Muhammad ﷺ

Ijaabat ne jhuk kar gale se lagaya
Barhi naaz se jab duaa-e-Muhammad ﷺ

Ijaabat ka sehraa inayat ka joraa
Dulhan ban ke nikli duaa-e-Muhammad ﷺ

Razapul se ab wajd karte guzriyye
Ke hai rabbis sallim sadaaye Muhammad ﷺ