Kalams Page

Main To Khud Un Ke Dar Ka Gada Hoon, Apne Aaqa Ko Main Nazr Kya Doon

Poet: Professor Iqbal Azeem | Book: Zaboor-e-Haram | Type: Naat

Main To Khud Un Ke Dar Ka Gada Hoon, Apne Aaqa Ko Main Nazr Kya Doon


Main to khud un ke dar ka gada hoon, apne aaqa ko main nazr kya doon
Ab to aankhon mein bhi kuch nahi hai, warna qadmon mein aankhen bichha doon

Aane wali hai un ki sawari, phool naaton ke ghar ghar sajadoon
Mere ghar mein andhera bohot hai, apni palkon pe shamain jala doon

Meri jholi mein kuch bhi nahi hai, mera sarmaya to yahi hai
Apni aankhon ki chaandi baha doon, apne mathe ka sona luta doon

Be nigaahi pe meri na jayen, deedah war mere nazdeek aayen
Main yahin se madina dikha doon, dekhne ka saleeqa sikha doon

Roza-e-paak paish nazar hai, samne mere aaqa ﷺ ka dar hai
Mujh ko kya kuch nazar aa raha hai, tum ko alfazon mein kaise bata doon

Mere aansu bohot qeemti hain, in se wabasta hain in ki yaadein
In ki manzil hai khaak-e-madina, yeh gaher you nahi kaise luta doon

Main fakat aap ﷺ ko jaanta hoon aur isi dar ko pehchaanta hoon
Is andhere mein kis ko pukaroon, aap ﷺ farmaen kis ko sada doon

Mujh ko Iqbal nisbat hai un ﷺ se, jin ka har lafz jaan-e-sukhan hai
Main jahan naat apni suna doon, sari mehfil ki mehfil jaga doon