Kalams Page

Main Lab Kusha Nahin Hoon Aur Mehwo Iltija Hoon

Poet: Professor Iqbal Azeem | Book: Zaboor-e-Haram | Type: Naat

Main Lab Kusha Nahin Hoon Aur Mehwo Iltija Hoon


Main lab kusha nahin hoon aur mehwo iltija hoon
Main mehfil e haram ke adaab jaanta hoon

Un ko agar na chahoon to aur kis ko chahoon
Jo hain khuda ke pyare main un ko chahta hoon

Aisa koi musafir shayad kahin na hoga
Dekhe baghair apni manzil se aashna hoon

Koi to aankh wala guzre ga is taraf se
Tayba ke raste mein, main muntazir khara hoon

Yeh roshni si kya hai, khushboo kahan se aai?
Shayad main chalte chalte rozay tak agaya hoon

Tayba ke sab gada gar pehchaante hain mujh ko
Mujh ko khabar nahin thi main is qadar bara hoon

Doori o hazri mein ek baat mushtarak hai
Kuch khwab dekhta tha, kuch khwab dekhta hoon

Iqbal mujh ko ab bhi mehsoos ho raha hai
Rozay ke samne hoon aur naat parh raha hoon