Kalams Page

Main Kabhi Nasr Kabhi Nazm Ki Soorat Likhoon

Poet: Ibrahim Hassan | Book: Unknown | Type: Naat

Main Kabhi Nasr Kabhi Nazm Ki Soorat Likhoon


Main kabhi nasr kabhi nazm ki soorat likhoon
Teri soorat teri seerat teri madahat likhoon

Teri naimatain kabhi ilham ki soorat utrain
Aankh main khwab liye raaz-e-haqiqat likhoon

Masjiday madarsay barood ki zad main aayen
Kis tarah she'r main ummat ki museebat likhoon

Yaad-e-Tayba main barasti rahain aankhain meri
Kaise ashkon se main naghmaat-e-aqeedat likhoon

Us ke alfaz main khiltay hain aqeedat ke gulaab
Teri tareef main jo bhi main ibarat likhoon

Poore Qur'an main tauseef likhi hai teri
Us ko parh parh ke teri shan-e-risalat likhoon

Bazm main hoon to zubaan pe ho tera zikr-e-jameel
Ho jo tanhai mayassar teri ulfat likhoon

Maan ne bachpan main mujhe ye bhi naseehat ki thi
Jab talak zinda rahoon aap ki madahat likhoon