Main Hoon Junoone Ba Khabar Yani K Chaak Bakhair Gar
Main Hoon Junoone Ba Khabar Yani K Chaak Bakhair Gar
Main hoon junoone ba khabar yani k chaak bakhair gar
Jaan o jigar teri nazar, dam hama dam Ali ؑ Aliؑ
Yad-e Khuda Ali ؑ Ali ؑ, izn-e Khuda Ali ؑ Ali
Sher-e Khuda Ali ؑ Ali ؑ, dam hama dam Ali ؑ Aliؑ
Tu hi hayat-e kashtgaan, tu hi sarwar-e jawdaan
Soorat gar-e qalandaraan, dam hama dam Ali ؑ Aliؑ
Naam tere ki azmatein kaampe zameen o aasmaan
Tu hi mu'in-e bay kasaan, dam hama dam Aliؑ Aliؑ
Tu hi yaqeen bay gumaan, yani nishaan-e bay nishaan
Tu hi Ameer-e kaarwaan, dam hama dam Ali ؑ Aliؑ
Tera nishaan buland hai arsh-e rawaan samand hai
Har do jahan kamand hai, dam hama dam Ali ؑ Ali
Bagh-e Iram ki qamriyaan, husn-e qadam ki tootiyaan
Goya zaban-e bay zabaan, dam hama dam Ali ؑ Ali
Wus'at-e ilm ka hai dar, tujh se khuli nazar nazar
Raaz-e nihaan se ba khabar, dam hama dam Ali ؑ Aliؑ
Tu hi wasi noor-e ain tu hi imam-e qiblayn
Yani tere Hasan ؑ o Husain ؑ dam hama dam Ali ؑ Ali
Surma-e haq ka noor hai, yani tera zuhoor hai
Door kahaan ye Toor hai, dam hama dam Aliؑ Ali
Husn tera hai Alkitab, ae ke Shah-e Abu Turab
Mast bana pila sharaab, dam hama dam Aliؑ Aliؑ
Ae ke Imam-e har jahan, Wasif-e khasta jaan kahaan
Tera hai izn wo azaan, dam hama dam Aliؑ Aliؑ