Main Fana Andar Fana Hoon Tu Baqa Andar Baqa
Main Fana Andar Fana Hoon Tu Baqa Andar Baqa
Main fana andar fana hoon tu baqa andar baqa
Main dagha andar dagha hoon tu wafa andar wafa
Tu shahadat dar shahadat main gumaan andar gumaan
Tu yaqeen andar yaqeen main waswasah dar waswasah
Tu salaamat dar salaamat main fareb andar fareb
Main shikayat dar shikayat tu raza andar raza
Tu tajalli dar tajalli main khusoof andar khusoof
Main siyahi dar siyahi tu ziya andar ziya
Main ghiyab andar ghiyab o tu zuhoor andar zuhoor
Tu huzoori dar huzoori main ghata andar ghata
Main taqaza dar taqaza tu shakeeb andar shakeeb
Main tamanna dar tamanna tu ghina andar ghina
Main jahalat dar jahalat tu shu'oor andar shu'oor
Tu baseerat dar baseerat main amaa andar amaa
Tu haqeeqat dar haqeeqat main majaz andar majaz
Main zalaalat dar zalaalat tu huda andar huda
Main fasad andar fasad o tu amaan andar amaan
Main adawat dar adawat tu vila andar vila
Tolu mohabbat dar mohabbat main havas andar havas
Main numaish dar numaish tu haya andar haya
Tu manafa dar manafa main ziyan andar ziyan
Main safahat dar safahat tu zka andar zka
Main uqoobat dar uqoobat tu na'eem andar na'eem
Main kudurat dar kudurat tu safa andar safa
Tolu azimat dar azimat main shikast andar shikast
Main shaqawat dar shaqawat tu shifa andar shifa
Main khizaan andar khizaan o tu bahaar andar bahaar
Main samoom andar samoom o tu saba andar saba
Main zawaal andar zawaal o tu kamal andar kamal
Tu isabat dar isabat main khata andar khata
Main gadai dar gadai tu ata andar ata
Main bakhili dar bakhili tu sakha andar sakha
Tu muqarrab, tu mufazzal, tu mukhassas tu mubeen
Main paraganda, main randa, be-nawa, be-aasra
Tu hai sultan-e-salateen main faqiron ka faqeer
Tu sarfaraz-e-maqam-e-abda, main khaak-e-paa
Hai tuhi ta-seen, taha, kaaf-ha-ya-aein-soad
Mujh pe yeh azrahe ilm min laddun alqa hua