Main Banda Aasi Hoon Khata Kar Hoon Mola
Main Banda Aasi Hoon Khata Kar Hoon Mola
Main banda aasi hoon khata kar hoon Mola
Lekan teri rehmat ka talabgar hoon Mola
Wabasta hai umeed meri tere karam se tera hoon
Fqat tera parastar hoon Mola
Main banda aasi hoon khata kar hoon Mola
Lekan teri rehmat ka talabgar hoon Mola
Phir tum mere imaan ko tawanai ata kar
Barson nahi sadiyon se main beemaar hoon Mola
Main banda aasi hoon khata kar hoon Mola
Lekan teri rehmat ka talabgar hoon Mola
Bahir ke ujale mujhe kya raah sujhaen
Andar ke andheron me giraftar hoon Mola
Main banda aasi hoon khata kar hoon Mola
Lekan teri rehmat ka talabgar hoon Mola
Ik tera ishara ho aur aasan ho mushkil
Ik lehr uthe aur main us paar hoon Mola
Main banda aasi hoon khata kar hoon Mola
Lekan teri rehmat ka talabgar hoon Mola