Kalams Page

Mahboob Ki Mehfil Ko Mahboob Sajate Hain

Poet: Abdul Sattar Niazi | Book: Kuliyat-e-Niazi | Type: Naat

Mahboob Ki Mehfil Ko Mahboob Sajate Hain


Mahboob ki mehfil ko mahboob sajate hain
Aate hain wahi jin ko sarkar bulate hain

Woh log khuda shahid qismat ke sikandar hain
Jo sarwar e aalam ka milaad manate hain

Mehkharro zara jaana mekhana e sarwar mein
Woh jaam e karam ab bhi bhar bhar ke pilate hain

Sarkar ki rehmat ka andaza nahi in ko
Jo hum ko jahannum se din raat darate hain

Jin ka bhari duniya mein koi bhi nahi wali
Un ko bhi mere aaqa seene se lagate hain

Daaman e kareemi ki wusat to zara dekho
Mujh jese nikamme ko kamli mein chhupate hain

Un logon ki azmat ka Allah bhi zakir hai
Gun aap ki azmat ke din raat jo gaate hain

Jo shah e Madina ko laaj paal samajhte hain
Daaman e talab bhar kar mehfil se woh jaate hain

Is aas pe jeeta hoon keh de koi yeh aakar
Chal tujh ko Madine mein Sarkar bulate hain

Allah ke khazanon ke maalik hain Nabi sarwar
Yeh sach hai Niazi hum sarkar ka khate hain