Madine Ka Safar Hai Aur Main Nam Dida Nam Dida
Madine Ka Safar Hai Aur Main Nam Dida Nam Dida
Madine ka safar hai aur main nam dida nam dida
Jabeen afsurda afsurda qadam lagzeeda lagzeeda
Chala hoon aik mujrim ki tarah main janib-e-taiba
Nazar sharminda sharminda, badan larzeeda larzeeda
Kisi ke hath ne mujh ko sahara de diya warna
Kahan main aur kahan ye raste pecheeda pecheeda
Ghulaman-e-Muhammad ﷺ door se pehchane jate hain
Dil garweeda garweeda, sar shoreeda shoreeda
Kahan main aur kahan is roza e aqdas ka nazara
Nazar us simt uthti hai magar dazdida dazdida
Madine ja ke hum samjhe taqaddus kis ko kehte hain
Hawa pakeeza pakeeza, fiza sanjeeda sanjeeda
Basarat kho gayi lekin baseerat to salamat hai
Madina hum ne dekha hai magar nadida nadida
Wohi Iqbal jis ko naz tha kal khush mizaji par
Firaq-e-taiba mein rehta hai ab ranjeeda ranjeeda